Regular price: $4.99
Ye Buddha ke sutra hain jinmen Buddha aath angovala marga batate hain: samyak drishti, samyak sankalp, samyak vani, samyak karmant, samyak ajiv, samyak vyayam, samyak smriti, samyak samadhi. Osho ne. bahut gaharai se in aath ango ko samjhaya hai jo sadhak ke liye atyant upayogi hai.
Vipassana sabse kimti dhyan hai. Iski vidhi hai, sirph baithkar shvas ko dekhte rahna. Yah pranayam nahi hai, shvas ki naisargik gati ko sakshibhav se dekhna hi vipassana hai. Is tarh dekht-dekhte hi chitt ke sare rog tirohit ho jate hai, sharir se sambandh tut jata hai. Ise aharnish kahi bhi kiya ja sakta hai.
Shreshth vahi hai jo jhuk sakta hai. Is pravachan me Osho ek bahut gahri baat kah rahe hain jo mahtvakanksha ki daud ke viprit hai. Sagar itana virat hai kyoki vah sabse niche hai isaliye har jharna usi me akar girta hai. Purab ne bahut bahut tarah se jhukne ka aur sab kuch pane ka raaj jaan liya hai. Jinhe hinta ki granthi hai ve hi daudte hai.
Ahankari vyakti pratipal isi hisab me laga rahta hai ki kis tarah se mere ahankar ko jyada sahara milega. Akad kar khada rahu, kisi ke samne na jhuku, chehre ko bilkul patthar ki murti bana lu, isase milega? Ya phir vinamrata se labh milega to vah vinamar hone ko bhi taiyar hai. Is ahankar se bachiye, yah maharog hai.
Kya aap dhyan karna chahte hai? to phir yah pravachan sune. Osho ke sutra saral hai: Ekant dyan ki bhumika hai, avyastata dhyan ka dvar hai, prakriti sannidhya dhyan me atyant sahayogi hai.Vichar shant ho jaye, akash se badaliya chali jayen, akash hi bache jo chetna se alokit ho.
Is pravachan me Osho manovaigyaniko ka satik visheshan karte hain.Dusro ki madad karte-karte ve khud ki madad karna bhool jate hai. Asli dhyan hai man ki halchal ke prati jagna. Na to usame ulajhna, na usase bhagna. Jagne ka sutra hai sakshi banna. karke dekhem, bahut anand milega.

Samyak darshan ke bina gyan nahi. Gyan ke bina charitrya nahi. Charitrya ke bina moksha nahi. Jo abhi charitra me shudha nahi hua usaka moksha kaha?
Is pravachan me Osho kahte hai ki paramatma ki purani dharna ab kaam nahi aayegi. Usase upar uthkar dhyan me utarna chahiye tabhi jivan ka arth samajh mei ayega. Ishvar ko upasthiti ki bhanti samjhe, vyakti ki bhanti nahi.
Yah samaj tumhare dukh par ji rahe ho. Yaha jo yashasvi log hai ve tum par tabhi tak niyantran kar sakte hai jab tak tum dukhi ho. Islyie tumhe dhukhi rahna padta hai. Lekin sukh tumhara svabhav hai, tumhare bhitar hi hai. Dukh ke karan dur kar do, sukh pragat hoga.
Jagaran ki bela kaunsi? Jis kshan jag aa jaaye vahi. Iska artha hua, kisi bhi kshan jaag sakte hai.Yahi baat Osho samjha rahe hai isme. Bhoot aur bhavishya me uljhe na rahe, vartaman me hosh ko laaye. Suraj bhitar maujood hai.
Shubh ko aksar ek naitik karm samajha jata hai lekin Osho kahte hai ki shubh koi krutya nahi hai, acharan nahi, bhav hai. Jo karne se tumhe anand milta hai vah tumhare liye shubh hai. Isaliye apna chand khojo, apna anand khojo.Vahi shubh hai.
Paramatma nikat me jana jata hai. Nikat ko pahachanne ka marg hai prem. Anuman nahi, tark nahi, jab prem me doobkar tumhara hriday geet gungunata hai tab tum paramatma ka anubhav karte ho. Paramatma anuman nahi, prem ki pratiti hai.
Prem ke pahaluo ko ujagar karnevala adbhut pravachan. Osho kahte hai ki prem me jab tak vyakti apna ahankar khota nahi hai tab tak prem nahi ho sakta. Prem hriday me ghatata hai aur hriday ke liye jhukna bahut asan hai. Prem mitne ki kala sikhata hai aur jine ki bhi.
Yadi aap jivan me atma-kranti chahte hai to apani sari bhulo ka, apni samasyao ka uttardayitva lo. Dusro par dosh madhne se kuch hasil na hoga. Manovigyan aur dharm me yahi phark hai. Manovigyan apani manasikta ke liye dusre ko doshi manta hai, aur dharm svayam ko. Pashchim ahamkar ko majbut karta hai aur purab ahankar ko mitata hai. Yadi tum jimmedar ho to hi vikas ki sambhavna banti hai.
Is pravachan me Osho hamare sthapit mulya par chot karate hai. Ham adarsh ko mahan maante hai lekin Osho ke anusar adarsh thothe hai kyoki ve udhar hai. Adarsh bahar se thope jaate hai, bhitar ki samajh se nahi nikalte. Adarsh ka arth hai ham jaise nahi hai vaise banne ki koshish karana. Yadi jivan ko janna hai to apne antas ko khilne de. Samanya ko mahatva de, vishisht hone ki koshish na kare.
Apramad yani hoshpurvak jina. Ham sabhi maut se dare-dare jite hai lekin vah koi jina nahi hai. Hosh paida kare to jivan anant roop se khilta jayega.Is pravachan me isika margadarshan kiya gaya hai.
Stephen R. Covey's book, The 7 Habits of Highly Effective People, has been a top seller for the simple reason that it ignores trends and pop psychology for proven principles of fairness, integrity, honesty, and human dignity. Celebrating its 15th year of helping people solve personal and professional problems, this special anniversary edition includes a new foreword and afterword written by Covey that explore whether the 7 Habits are still relevant and answer some of the most common questions he has received over the past 15 years.
Charitra ki badi sundar mimansa hai is pravachan me. Aam taur par ham charitra use kahte hai jo bahar se aropit hai. Aisa charitra kitna hi majabut dikhai pade, kisi bhi kshan toot sakta hai. Asli charitra bhitar nirmit hota hai aur bahar phailta hai; jiski jaden svabhav me chipi hai.
Jivan ke satya kahi door akash me nahi chipe hai. Ve yahi likhe pade hai charo taraf. Patte-patte par aur kan-kan par ved likhe hai, bas dekhnevali ankh chahiye. Anubhav ke phul ikaththe karake mat rakhna, unka itra nikalna, tabhi satya milega.
Please note: This speech is in Hindi.