Share Market Guide

29 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

 Sadharantaha share bazaar ko arthvyavastha ka barometer samjha jaata hai. Vishwa par share bazaar punji ki mang karne waalo tatha punji pradaan karne waalo ke liye aisa manch hai, jo punji ke pravah ko bachat se utpadakta ki oar le jata hai. Arthvyavastha ki mazbooti tatha uska swasthya uski vyavastha ki punji bazaar se aanka jaata hai. Yadhyapi humare desh mein stock exchange ka itihas purana hai, parantu mukhya roop se yah kuch kendro tak hi seemit raha tatha apekshakrit kaafi kam niveshak isse sakriya roop se jude rahe. Technology ke vistaar tatha bharatiya arthvyavastha ke vaishwik arthvyavastha se judaav ne humare share bazaaron ko aisa roop pradan kiya hai, jo tulnaatmak drishti se vishwa ki vikasit arthvyavasthaon ke manch ke samaksh ya unse bhi aage hai. Aaj humare share bazaaron ki karyapranali atyant vikasit tatha paardarshi hai. SEBI tatha RBI ne niyaamak ke roop mein humaare share bazaaron ko mazbooti tatha suraksha pradaan kar inhe robust banane mein sakriya bhoomika nibhaayi hai. Arthvyavastha mein tezi tatha share bazaaron ki pardarshita ne naa keval gharelu, balki videshi niveshako ko bhi tezi se aakarshit kiya hai. Iss dauraan humare punji bazaar ne vibhinn vitteya product tatha instrument ke dwara apna aakaar tezi se badhaya hai.

Is kitab se aap share bazaar ke baare mein tatha share bazaar mein nivesh karne ke tareekon ke baare mein jankari haasil karke share bazaar ka laabh utha sakte hai.

Show more Show less
You're getting 2 free audiobooks.


You're getting two free audiobooks.

$14.95 per month after 30 days. Cancel anytime.