Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.
Mahilaon Ko Chahiye Adhik Poshan  By  cover art

Mahilaon Ko Chahiye Adhik Poshan

By: Shameem Khan
Narrated by: Pallavi Bharti
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Mahilaon aur purushon dono ko hi santulit bhojan, paryapt neend, bharpoor paani aur niyamit roop se exercise karne ki zaroorat hoti hai. Nau saal tak ke ladke aur ladkiyon ko ek samaan poshak tatvon ki zaroorat hoti hai. Lekin umra badhne ke saath sharirik parivartanon ke kaaran dono ki poshak tatvon ki zaroortein badal jaati hai. Ek yuva purush ko pratidin do hazar se saade-do hazar kilo calorie ki aavashyakta hoti hai, jabki usi aay ki mahila ko ek hazar aath sau se do hazar do sau kilo calorie ki. Lekin in aakdon se yah nahi samajhna chaahiye ki mahilaon ke sharir ko poshak tatvon ki bhi kam aavashyakta hoti hai. Sachchai to yah hai ki ek mahila ko apne umr ke purush ke mukable zyada poshak tatvon ki zaroorat hoti hai. Mahilaon ki sharirik banavat naazuk hone ke saath hi jatil bhi hoti hai. Unhe bimariyon ka khatra to purushon ki tarah hi hota hai lekin maasik dharm, garbhavastha, stanpaan aur menopause ke kaaran unhe kayi sharirik samasyaon ka saamna karna padta hai. Isliye zaroori hai ki khud ko fit aur swasth rakhne ke liye mahilayein apni sharirik zarooraton ko samjhein. Unnis se pachas saal ki mahilaon ko pratidin atharah milligram iron ki avashyakta hoti hai. Garbhavastha ke samay to iron ki avashyakta aur badh jaati hai. Lekin isi aayu seema ke purushon ko pratidin sirf aath milligram iron ki avashyakta hoti hai. Jo mahilayein garbh nirodhak goliyon ka sevan karti hai, uske sharir ko iron ki avashyakta samanya mahilaon se adhik hoti hai. Isliye mahilaon ko hamesha apne poshan par vishesh roop se dhyaan dena chahiye.
    ©2015 Prabhat Prakashan (P)2020 Audible Studios
    Show more Show less

What listeners say about Mahilaon Ko Chahiye Adhik Poshan

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.