Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.
Crime Stories by Delhi Press, Season 10  By  cover art

Crime Stories by Delhi Press, Season 10

By: Delhi Press
Narrated by: Nitin Sharma
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Crime Stories by Delhi Press ka sankalan. Akhbaar ki surkhiyon mein kayi apraadh ke qisse dil dehla dete hain. Aakhir sach kya hai, koi hadsa kaise hua, uske peechhe kiska haath tha, apraadhi bach kar kaise nikla? Ek ghatna ke peechhe kayi raaz hote hain, chhupi huyi kahaniyan hoti hain aur gupt kadiyan hoti hain. Har kirdaar ki alag maansikta hoti hai, jise samajhne ke liye unki duniya mein jaana padta hai. Hatya, balatkaar, chori, dhokhe ki kahaniyan samaaj ke ek aise pehlu par roshni daalti hain jise samajhna mushkil aur dilchasp bhi. Sansanikhez khabaron ke peechhe romanchak kahaniyan hain jo suljhaana kathin hai. Satya ki talaash mein tehkikaat karte kirdaar aapke saamne kayi sawaal layenge. Yeh kahaniyan aapko apraadh ke uss mod tak le jayengi jahan rahasya ke saath uljhan aur halchal bhi hai. Kya aap sach ki iss khoj mein shaamil hona chaahenge?
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show more Show less
Episodes
  • रौंग नंबर ने बदल दी दिशा : आत्महत्या को ले कर बुनी गई एक रोचक कहानी
    Jul 7 2022
    Disha ko uske premi ne dhokha de diya tha. Iss wajah se uski naukri bhi chali gayi thi aur ab use apne jeevan mein koi ummeed nahin dikh rahi thi. Uski kaafi badnaami bhi ho gayi thi. Usne ghar se bahar jaana bhi band kar diya tha. Use jeevan vyarth lagne laga tha. Uske paas neend ki goliyan thi. Goliyon ki poori sheeshi aur paani ka glass saamne tha. Kya Disha apne jeevan ka ant karne ki koshish karegi?
    Show more Show less
    17 mins
  • सच्चाई हार गई
    Jul 7 2022
    Kanpur se prakashit ek hindi dainik ke patrakaar Shubhamani Tripathi ko ek veer patrakaar maana jaata tha. Vah kisi se nahin darte the aur hamesha sach likhte the. Magar unki yeh sachchai unhe maut ke kareeb le gayi. Ek din unki hatya ho gayi. Don Divya Awasthi par shaq gaya kyunki uske saare kaarnamon ke baare mein Shubhamani ne akhbaar mein likha tha aur social media par post bhi kiya tha. Kya satya ki jeet hogi ya phir Shubhamani ki maut bhi khabron mein kahin kho jaaegi?
    Show more Show less
    20 mins
  • फिर वही अपराध : 10 साल की बच्ची से हैवानियत की इंतहा
    Jul 7 2022
    Azaad aur Raziya apne bachchon ke saath rehte the. Raziya akhbaar ki thaili banaane ka kaam karti thi. Ek din Pappu naam ka ek aadmi wahan aaya aur thailiyan maangi. Raziya ne kaha ki thoda samay lagega. Iss beech uski 10 saal ki bachchi bahar aa gayi aur Pappu use phusla kar apne saath le gaya. Usne bachchi ka balatkaar kiya aur uski hatya kar di. Kya police usko pakad sakegi?
    Show more Show less
    10 mins

What listeners say about Crime Stories by Delhi Press, Season 10

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.