Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.
Family Drama Stories by Delhi Press, Season 7  By  cover art

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 7

By: Delhi Press
Narrated by: Kumud Soney
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show more Show less
Episodes
  • लड़की पसंद है
    Jun 9 2022
    Ladke ko bachpan ke din yaad the jab vah apne chacha ke liye ladki dekhne parivaar ke saath jaata tha. Chacha ne kayi ladkiyan dekhi, kuchh unhe pasand nahin aayi aur kuchh ladkiyon ko chacha pasand nahin aaye. Ek din parivaar ke sadasyon ne keh diya ki ladkiwalon ko keh diya gaya hai ki ladki pasand hai. Jab chacha ne iski wajah poochhi toh kaha ki agar ladki pasand nahin thi toh itna saara naashta khaane ki zaroorat nahin thi. Ladke ke liye ab ladki dhoondh rahe the lekin use yaad tha ki kabhi bhi naashta nahi lena chaahiye.
    Show more Show less
    3 mins
  • रेप के बाद
    Jun 9 2022
    Mansi aur Meenal achchi dost thi. Akhil Meenal ka bhai tha. Ek din jab Mansi apni saheli Meenal ke ghar gayi toh wahan koi nahin tha, sirf Akhil mila. Vah intezaar kar rahi thi aur Akhil ne uska balatkaar kar diya. Mansi ko sadma laga aur vah kuchh nahin kar saki. Kya vah balatkaar ke haadse se ubhar sakegi aur kya use nyaay milega? Kya Akhil apna jeevan bina kisi pareshaani ke jee sakega?
    Show more Show less
    14 mins
  • चाहत
    Jun 9 2022
    Suresh aur Mahesh bhai the. Vah ek doosre se chhoti baat par ladte rehte the. Unki behen Sneh dono ke jhagdon se pareshaan ho chuki thi. Usne ghar se nikalne ke liye upaay banaane shuru kar diye. Pados ke ladke Shankar ne iss baat ka fayda uthaya aur usse dosti kar li. Vah dono kareeb aane lage. Lekin kya Sneh Shankar ki sachchi tasveer dekh sakegi? Kya vah uske swaarth ko samajh legi? Kya Sneh ke bhaiyon ko apni galti ka ehsaas hoga?
    Show more Show less
    15 mins

What listeners say about Family Drama Stories by Delhi Press, Season 7

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.