Garbhaavasthaa

17 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

Yeh kitaab, garbhavastha aur garbh ke samay par aanewaali vividh tarah ke samasya aur prashn ke baare mein jankari deti hai. Lekhika ke dwaara chalaye gaye janm dene hetu taiyari ki kaksha mein do hazar se adhik mahilayein shaamil ho chuki hai. Janm dene ke anubhav ke prati jo mahilaon ne swayam ko atmavishwasit mahsoos kiya, unhe bahut kam ya koi bhi dard mahsoos nahi hua. Manovaigyanik roop se taiyar koi mahila kisi bhi tarah ke prasav ka atmavishwas ke sath saamna kar sakti hai. Jab koi mahila yah samajh sakti hai ki uske case mein shalyakriya avashyak hai to vah is nirnay ko vivek ke saath sweekar karti hai. Agar aap apne prasav ke dauraan shwasan aur aaram ki kriya jaari rakhte hai, aapka maansik aur shareerik swasthya bhi accha hota hai. 

Ek mahila ke sharir prasav dene ke liye pratyek roop se rachit hota hai. Bacche ko prakritik roop se janm dena yaani aarampoorn rookh ke saath bina kisi peeda aur bina kisi machini prakriya ki sahayta ke bacche ko janm dene ko prakritik prasav kaha jaata hai. Is roop ka prasav ek mahila ke swasthya ke liye sabse achha tareeka saabit hua hai. Is pustak mein garbh ke shuruaat se lekar ant tak ke saare prakriya aur zimmedariyon ke baare mein vistarit roop mein likha gaya hai.

Show more Show less
You're getting 2 free audiobooks.


You're getting two free audiobooks.

$14.95 per month after 30 days. Cancel anytime.