Sampoorna Yog Vidya

36 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

Hazaron varshon se yog vidya ne is sansar mein apna pradhanya banaye rakha hai. Is vidya ne vishwa ke sabhi dharmon ko anupranit kiya hai aur manav jaati ko sahi disha ki ore agrasar kiya hai. Yah vastav mein ek ‘saarva bhaumik vishwa manav dharm’ hai aur lakhon varshon se bharat mein yog ki parampara chali aa rahi hai. Kayi dashak pehle logon ne apne agyan aur aalasya ke kaaran yogasanon par dhyan dena kam kar diya hai, aur iska mahatva ko bhool rahe hai. Is amoolya vidya ko sadharan logon tak pohonchane ke liye lekhak ne is pustak ki rachna ki hai. Lekhak ne is pustak ko yog ke sambandh mein har prakar se sampoorna banane ki koshish ki hai. Yog bharatiya rishi muniyon dwara hume diye gaye vardan hai jo hamare jeevan ko har tarah se badal sakte hai. Iska nirantar abhyas karne par anek rogon se mukti prapt hoti hai aur hamara jeevan zyada sukhmay, sampoorn aur santusht ban jaata hai. Is pustak ke maadhyam se lekhak apne pichhle tees varshon mein yog ke sambandh mein seekhe hue vishayon ko aap tak pahunchane ka prayas kar rahe hai. Yog kya hai, kya karta hai, kya pradaan karta hai aadi prashnon ke uttar aur unse sambandhit zaroori drishtikonon ko bhi lekhak is pustak mein lipibaddh kiya hai. Har pathak ko yah pustak kayi baar padh leni chahiye aur isme diye gaye takneekon aur siddhanton ko vivekpoorn prayog mein laana chahiye. Lekhak ka uddeshya aapko nirogi rakhne ka hai, aur uske saath hi aapko sharirik, mansik, bhautik aur adhyatmik roop se sukh, shanti, samriddhi aur paramanand pradaan karne ka hai. 

Show more Show less
You're getting a free audiobook.

You're getting a free audiobook.

$14.95 per month after 30 days. Cancel anytime.