Prarthana Dwara Samadhan Pane Ki Takneek

11 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

Prastaavna ke zariye lekhak is kitab ke mukhya uddeshya ke baremein batate hai. Unhone bataya hai ki praarthana dil ke ichchaon ke saakaar hone ka tareeka hai. Jiss taraha praarthana sabke liye upalabdh hai, ussi taraha se uske zariye ichchaon ka safal hona bhi sabke zindagi mein sambhav hai. Yeh kitaab un takneekon ke bare mein batati hai jo kisi bhi praarthana ko safalta dila sakti hai. Koi bhi vyakti jaise sochta hai, mehsus karta aur vishwas karta hai, unke mann, sharir aur paristhition ki avastha bhi waisi hi ho jati hai. Praarthana ka fal kisi cheez par viswas karne par nahi milta hai. Praarthana tab fal deti hai jab vyakti paristhition par avchetan mann mein banaye gaye chitra ya vichar par pratikriya karte hai.

Praaarthna karne ke liye sab se pehle apne avchetan mann ko kisi cheez par viswas dilana aur usko sach manna zaruri hota hai. Viswas mann ka ek vichar hai. Jo bhi cheez sach hai, pyaara hai aur achchha bhi hai, agar usme sadgun hai to ussi ke bare mein soch kar viswas banana padta hai. 

Bible ke anusaar praarthana ko ek nirantar srijanatmak ghatak banana chahiye. Kyun ki praarthana sirf aapko safalta hi nahi dilati hai, yeh aapke swasth ko kayam rakh sakti hai. Iski badaulat aap dusron ke prati zyada madadgaar bhi ban sakte hai.

Sansar me chal rahe srijanatmak shakti ke sath mann aur bhaavnao ko jorne se praarthana chamatkar dikhati hai.

Show more Show less
You're getting 2 free audiobooks.


You're getting two free audiobooks.

$14.95 per month after 30 days. Cancel anytime.