Lakshya

16 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

Yah pustak un mahatvakankshi logon ke liye likhi gaya hai, jo zyada tezi se aage badhna chahte hai. Is pustak mein bataye hue vicharon ko samajhkar aap varshon tak ki kadi mehnat se bach sakte hai aur apne mahatvapoorn lakshyon ko zyada tezi se haasil kar sakte hai. Aapka samay aur zindagi bahut keemti hai. Is samay aur zindagi ki sabse badi barbadi tab hoti hai, jab aap kisi ek cheez ko haasil karne ke liye varshon laga dete hai, jo sirf kuch mahinon mein hi haasil kiya ja sakta tha. Is pustak mein di gayi lakshya nirdharan aur lakshya prapti ki vyavharik prakriya aapko bhi yah karne ke liye prapt banati hai. Is prakriya ko aazma kar aap bahut kam samay mein itna zyada haasil kar sakte hai ki uski aap kabhi kalpana bhi nahi kiye honge. Aap itni tezi se tarakki kar sakte hai ki khud aap aur aapke aas-paas ke log hairan reh jaayenge. In saral aur aasan vidhiyon aur takneekon ka paalan karke aap bhavishya mein gareebi se ameeri tak pahunch sakte hai. Jo bhi cheezon ko lekhak ne aaj tak safalta, uplabdhi aur lakshya prapti ke kshetron mein seekha hai, un sabke saar is pustak mein hai. Is mein likhe hue takneekon ka prayog karke aap apne pariwar aur doston ke aage nikal sakte hai aur aapke adhikansh jaan pehchan ke logon se bhi zyada safalta nishchit roop se paa sakte hai.

Show more Show less
You're getting a free audiobook.

You're getting a free audiobook.

$14.95 per month after 30 days. Cancel anytime.