#Kahaniwala

9 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

Kahaniyon ka kya hai? Wo to sirf kahaniyan hain, kuchh kehna ho to ek kahani, kuchh na kehna ho to ek aur kahani. Kahaniwala ek kahani sangrah hai jiske kahanikar Sandeep Dobriyal hain. Paudi Gadhwal ki prishthbhoomi se jude aur Lucknow mein janme Sandeep Dobriyal peshe se engineer hain. Inki prarambhik shiksha Lucknow mein hui aur gat kuchh varshon se America mein karyarat hain. lekhan ke alawa Sandeep chitrakaari aur rangmach mein bhi ruchi rakhte hain. Kahaniwala, Sandeep ki pehli kahani sangrah hai.

Is kahani sangrah mein kul 9 kahani hain. Ye kahaniyan aaj ke log, samaaj aur jeevandharna pe aadharit hain. ‘Patangein’ mein jahan Gafoor miyan insaaniyat ko darshate hain aur jeevan ke sahi roop ko darshate hain to ‘Thithurte Haath’ aaj ke insaan ke swarth aur dhong ko darshata hai. ‘Wahin Aaloo Bhujiya’ vartman mein striyon ki samajik sthiti darshata hai to ‘Jhootha Sach’ safalta ke peechhe bhagte logon ke liye riston ka arth samjhata hai. Isi prakar ‘Mera Room’ badlav se darte logon ke baare mein hai to ‘Jugnoo’ aur ‘Sone ka Hiran’ rishton mein badhte matbhed aur matlabi bhawnaon ko dikhlata hai. ‘Kuchh Rishte Udte Hue hi Achchhe Lagte Hain’ mein lekhak ne rishton ke ateet mein fase huye logon ka dhyan aakarshit kiya hai aur saath hi saath pathakon ko rishton ke uljhano ko bhi samjhaya hai. ‘Main Bahut Bade Seeng Chahta Hoon’ kahani mein lekhak ne vartaman mein insaanon ki manodasa ko dikhaya hai. Lekhak ne apni is kahani sangrah mein aadhunik yug mein badalte rishte aur insaan ki maansik durbaltaon ko darshata hai.

Show more Show less
You're getting 2 free audiobooks.


You're getting two free audiobooks.

$14.95 per month after 30 days. Cancel anytime.