Chhori Kamli

6 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

Kahaniyon ka yah sankalan paatron ke khayalon, khwabon, yaadon aur sawalon ko komal shabdon mein sanjota hai. Rishton ki baarikiyon ko saamne laati yah kahaniyan, kayi anubhutiyan lekar aati hain: pyar ke alag-alag rang, girte-sambhalte rishte, samaaj ke daayre. 

Sust dopahar mein do premiyon ko ek doosre ke kareeb aane ka ehsaas hai, toh kabhi dhalti shaam ke saath yaadon ka silsila bhi chal raha hai. Kya vah premi apne rishte ka asli mayine pehchaan payenge?

Gaon mein do biradariyon ke beech, Kamli aur Munshira ki prem katha kahin aa kar ruk jaati hai. Kya samaaj ki banayi seemayein unke hriday ki bhaavnaayein thaam lengi? Registaan ke hi ek gaon mein Shruti aur Vijay bhi apne rishte ko duniya se chhupaate hue ek doosre ke kareeb aa rahe hain. 

Sheher mein rehte yuvak aur yuvti ek doosre ki aadaton se parichit bhi hain aur pareshaan bhi. Daftar aur ghar ke beech bhaagte iss daud mein kahin vah apne rishte ko hi peechhe toh nahin chhod aaye hain? 

Kanika aur Raman ek doosre se aakarshit huye aur dheere-dheere haath thaam liya. Lekin sandeh ki parchhayi unke rishte ko kamzor bana rahi hai. Kya vah vishwaas ki nayi kadi dhoond paenge? Sheher ke kisi doosre kone ke Coffee House mein baithe ek yuva dampati bhi apni kismat aazma rahe hain. Aisi kya majboori hai ki na chaahte huye bhi unhe ek doosre ka saath chhodna pade?

Bhaavnaon ki leher mein behti kahaniyon ki yah dhaara, humein apne vichaar aur chetna ka aaina dikhati hain. 

Show more Show less
You're getting a free audiobook.

You're getting a free audiobook.

$14.95 per month after 30 days. Cancel anytime.