Chaurahe Par Seedhiyan

14 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

Chaurahe par seedhiyaan’ kahani-sangrah mein samaalit chaudaah kahaniyaan ek nayi khusb=hboo jaisi hai. Jo paathak hindi kahani mein navin prayog aur adhbhut bhasha padhne ki chaah rakhte hain, unhe ye kahani-sangrah avashya padhna chahiye. Iss kahani-sangrah ki sheershuck kahani ek roopak katha hai. Ismein kuch aise buimb chune gaye hain jo nirjeev hain. Ye bimb samaaj ki har parat mein upasthit unche-neeche aur samaanya stree-purush ka sateek chitran karte hain. Sangrah mein pehli kahani ek ladki ki diary se samaaj ke bhinn chehron ki asliyat ko udhaadhne wali kahani hai. Sabhi kahaniyon mein stree mukhya paatra hai aur uske dukh, uski abhilashaayein itni sahaj-saral hain ki vah paathak ki apne aas-pass ki maalum hoti hain. Kishore ki kahaniyon ke paatra avishvashniya nahin hain varan ve ye kahaniyaan paathak ke saamne ek aise vyakti ko la khada karti hain jisse paathak bhali-bhaanti jaanta hai. Inn kahaniyon mein gehra prem aur use adhik gehri tootan hai. Udaasi ka gaadha rang hai. Bhasha ek sammohan hai. Paathak bhasha ke pravaah mein behta jata hai. Jinn paathakon kop rem ke aawaas mein gehri chalaangg lagani ho unke liye hee ye kahaniyaan hain. 

Show more Show less
You're getting 2 free audiobooks.


You're getting two free audiobooks.

$14.95 per month after 30 days. Cancel anytime.