Aisi Waisi Aurat

10 books in series
0 out of 5 stars Not rated yet

Summary

Lekhika Ankita Jain ki pehli kitab hai Aisi Waisi Aurat. Yah pustak likhna lekhika ke liye shauk se zyada ek zaroorat thi. Lekhika ke liye un kahaniyon ko samne laane ki zaroorat thi jo unse judi aur unke aas-paas ke logon ke jeevan mein ghatit hui thi lekin unhe koi naam ya pehchan na mila tha. Ye ghatnayein ek buri kahani ya bura khwab bankar dab gayi thi, aur kayi jagah to haal isse bhi bura tha. Is kitab ki kahaniyon mein jin auraton ko mukhya charitra mein rakha gaya hai, ve aise charitra hai jinhe samaaj mein gandgi samjha jaata hai, aur jis par mitti daalkar chhupa diya jaata hai. Lekhika ke boarding, hostel aur naukri ke dauran saath kaam karne-wali ladkiyan, flat mein saath rehne-wali ladkiyon, dost aur rishtedaron mein se kisi na kisi ne unko ek kahani di hai.

Wo khud apni kahaniyan kisi se nahi keh paayi kyonki unke sach saamne aate hi unke charitra se adarsh samjhi jaane-wali chhavi ko alag kar diya jaata tha. Lekhika ne in kahaniyon ko usi bhasha aur roop mein likhne ki koshish ki hai, jis roop aur bhasha mein vah unke saamne aayi thi. Yah kitab ek kahani sangrah hai, aur isme kul milakar dus kahaniyan hai. In dus kahaniyon ke naam hai, ‘Maalin bhouji’, ‘Chhodi hui aurat’, ‘Platform number do’, ‘Room number fifty’, ‘Dhool maati si zindagi’, ‘Gunahgar kaun’, ‘Sattarve saal ki udaan’, ‘Ek raat ki baat’, ‘Uski wapasi ka din’, aur ‘Bhanwar’ 

Show more Show less

New to Audible?
Get Two Free Audiobooks

$14.95 a month after 30 days. Cancel anytime.