Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.
Green Tea Ek Faayde Anek  By  cover art

Green Tea Ek Faayde Anek

By: Shameem Khan
Narrated by: Babla Kochhar
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Kuchh varshon se green tea bharat mein sabse lokpriya drink ke roop mein ubhri hai. Kayi adhyayanon mein yah baat saamne aayi hai ki green tea keval ek pey padarth nahi hai. Agar sahi tareeke se iska sevan kiya jaaye to yah kisi health tonic se kam nahi hai. Isme koi do raay nahi ki green tea bahut labhdayak hai, lekin kayi log iska sevan atyadhik matra mein aur bina soche samjhe kar rahe hai. Ek din mein kitne cup green tea ka sevan kiya jaaye, iska sevan kab aur kab na kiya jaaye, kin logon ko iske sevan se bachna chahiye, ye kuchh baatein hai jinki jaankari hona bahut zaroori hai. Green tea mein vitamin B, magnesium, potassium, caffeine, aur catechins naamak antioxidants hote hai. Cheen mein paramparik upchar mein ise dawai ki tarah upyog kiya jaata hai. Swasthya visheshagyon ke anusar green tea ek naya super-food hai. Waise takneeki roop se green tea food nahi hai, lekin swasthya visheshagyon aur naturopathy ka maan-na hai ki green tea hamari sehat ke liye bahut upyogi hai. Isme calorie ki matra kam hoti hai aur yah antioxidants se bharpoor hoti hai. Haal mein hue kayi adhyayanon mein yah baat samne aayi hai ki green tea wazan kam karne se lekar type-2 diabetes tak ke khatre ko kam karti hai. Green tea mein catechin naamak ek rasayan hota hai, jo sharir ko free radicals se ladne mein sahayta karta hai. Yah sharir ke koshikaon ko free radicals ke hanikarak prabhav se bhi bachata hai.
    ©2015 Prabhat Prakashan (P)2020 Audible Studios
    Show more Show less

What listeners say about Green Tea Ek Faayde Anek

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.