Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.
Darling Democracy  By  cover art

Darling Democracy

By: Nilotpal Mrinal, Hind Yugm
Narrated by: full cast, Nilotpal Mrinal, Babla Kochhar, Parvez Gauhar, Sanyam Sharma, Shivam Dutt, Amardeep Purewal, Nitin Sharma, Neeraj Yadav
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Darling Democracy, ek Audible Original, in association with Hind Yugm. Best-selling lekhak Nilotpal Mrinal ke shadb.

    Bilaiya naamak gaon me panchayat chunav ki sugbugahat ke saath jab gaon ki seat Adiwasi ghoshit hoti hai tab vartmaan mukhiya Rang Bahadur Singh pareshan ho uthta hai. Malum chalta hai ki uss gaon me ek vidhwa adiwasi mahila hai jo ab nirvirodh mukhiya chuni jayegi. Usi dauran ek baniya ke beta ek adiwasi ladki ko bhaga le jata hai. Tab use manakar wapas gaon me laya jata hai aur baniya samaj us ladki ko chunav ladane ki taiyari karne lagta hai. Udhar vartman mukhiya ko pandit Tribhuj ne salah diya ki wo kisi adiwasi mahila se shadi karke rajput dwara shaasan karne ki parampara ko bacha sakte hain. Mukhiya aisa hi karta hai. Tabhi pandit Tribhuj ka beta ek adiwasi girlfriend se court marriage karke wapas lautata hai. Ab Bilaiya gaon mein mukhiya ke 4 candidate taiyaar ho jate hain. Lekin tabhi khabar aati hai ki panchayat chunav abhi nahin hoga. Iss tarah sabke armanon par pani fhir jata hai. 

    Disclaimer- Iss show mein apshabd aur kadi bhasha aur vayask shrotaayon ke liye vayask saamagri hai, jismein antrang drishya shaamil hain jo kahani ke anuroop hain. Yeh poori tarah kaalpanik hai aur vaastavik vyakityon, vyavsaayon, sthaanon ya ghatnaayon ke saath koi bhi samaanta maatr sanyog hai. Iss show ka uddyeshya kisi vyakti, sansthan, jaati, samudaay, nasl ya dharm ko thes pahunchaana ya badnaam karna ya kisi sansthan ya jeevit ya mrit vyakti ko badnaam karna nahin hai. Shrotaaon ko apne vivek ka istemaal karne ki bharpur salaah di jaati hai.

    ©2021 Audible Singapore Private Limited (P)2021 Audible Singapore Private Limited
    Show more Show less
Episodes
  • Episode 1: Adhyadesh Laya Kalesh
    Oct 14 2021
    Bilaiya gaon ke panchayat chunav me PESA Act ke tahat adiwasi seat ki khabar aate hi vartman mukhiya Rang Bahadur Singh baukhla jata hai. Uski nazar mein gaon me ek bhi adiwasi vyakti nahin hota. Tabhi malum hota hai ki ek adiwasi vidhwa hai gaon me. Pura samaaj bidak jata hai ki gaon par ab adiwasi mukhiya shasan karega?
    Show more Show less
    32 mins
  • Episode 2: Kadi Ninda With Sanyukt Adhiveshan
    Oct 14 2021
    Bilaiya gaon ke vartman mukhiya jaanch me lag jata hai ki akhir adiwasi mahila sach me uss gaon mein hai bhi ya nahin. Ya kisi ne rajput se panchayti chhinne ki chaal chali hai. Pata lagane ke liye Birbal Saah baniya ke bete ko lagaya jata hai. Kyonki Rang Bahadur ko napasand karne wale bhi bahut the.
    Show more Show less
    16 mins
  • Episode 3: Jasoosi Report
    Oct 14 2021
    Birbal saah ka beta Deepak koshish karke pata lagata hai ki gaon me koi adiwasi mahila nahin hai. Vartman mukhiya khush hota hai ki chalo panchayti bach gayi, nahi to adiwasi mukhiya hone se Bilaiya gaon ka loktantra khatam ho jata.
    Show more Show less
    25 mins

What listeners say about Darling Democracy

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.