Regular price: $4.99
Shreshth vahi hai jo jhuk sakta hai. Is pravachan me Osho ek bahut gahri baat kah rahe hain jo mahtvakanksha ki daud ke viprit hai. Sagar itana virat hai kyoki vah sabse niche hai isaliye har jharna usi me akar girta hai. Purab ne bahut bahut tarah se jhukne ka aur sab kuch pane ka raaj jaan liya hai. Jinhe hinta ki granthi hai ve hi daudte hai.
Ye Buddha ke sutra hain jinmen Buddha aath angovala marga batate hain: samyak drishti, samyak sankalp, samyak vani, samyak karmant, samyak ajiv, samyak vyayam, samyak smriti, samyak samadhi. Osho ne. bahut gaharai se in aath ango ko samjhaya hai jo sadhak ke liye atyant upayogi hai.
Kya aap dhyan karna chahte hai? to phir yah pravachan sune. Osho ke sutra saral hai: Ekant dyan ki bhumika hai, avyastata dhyan ka dvar hai, prakriti sannidhya dhyan me atyant sahayogi hai.Vichar shant ho jaye, akash se badaliya chali jayen, akash hi bache jo chetna se alokit ho.
Buddha ke ye sutra hame jagne ke liye prerit karte hai. Ve kahte hai jo bhi soye-soye ji raha hai vah maut me ja raha hai aur jo jagkar ji raha hai vah amrit path par chalne laga. Bhitar jagte hi uska pata chalta hai jo mit hi nahi sakta.
Vipassana sabse kimti dhyan hai. Iski vidhi hai, sirph baithkar shvas ko dekhte rahna. Yah pranayam nahi hai, shvas ki naisargik gati ko sakshibhav se dekhna hi vipassana hai. Is tarh dekht-dekhte hi chitt ke sare rog tirohit ho jate hai, sharir se sambandh tut jata hai. Ise aharnish kahi bhi kiya ja sakta hai.
Yah samaj tumhare dukh par ji rahe ho. Yaha jo yashasvi log hai ve tum par tabhi tak niyantran kar sakte hai jab tak tum dukhi ho. Islyie tumhe dhukhi rahna padta hai. Lekin sukh tumhara svabhav hai, tumhare bhitar hi hai. Dukh ke karan dur kar do, sukh pragat hoga.

Jagaran ki bela kaunsi? Jis kshan jag aa jaaye vahi. Iska artha hua, kisi bhi kshan jaag sakte hai.Yahi baat Osho samjha rahe hai isme. Bhoot aur bhavishya me uljhe na rahe, vartaman me hosh ko laaye. Suraj bhitar maujood hai.
Jivan ke satya kahi door akash me nahi chipe hai. Ve yahi likhe pade hai charo taraf. Patte-patte par aur kan-kan par ved likhe hai, bas dekhnevali ankh chahiye. Anubhav ke phul ikaththe karake mat rakhna, unka itra nikalna, tabhi satya milega.
Is pravachan me Osho manovaigyaniko ka satik visheshan karte hain.Dusro ki madad karte-karte ve khud ki madad karna bhool jate hai. Asli dhyan hai man ki halchal ke prati jagna. Na to usame ulajhna, na usase bhagna. Jagne ka sutra hai sakshi banna. karke dekhem, bahut anand milega.
Is pravachan me Osho kahte hai ki paramatma ki purani dharna ab kaam nahi aayegi. Usase upar uthkar dhyan me utarna chahiye tabhi jivan ka arth samajh mei ayega. Ishvar ko upasthiti ki bhanti samjhe, vyakti ki bhanti nahi.
Paramatma nikat me jana jata hai. Nikat ko pahachanne ka marg hai prem. Anuman nahi, tark nahi, jab prem me doobkar tumhara hriday geet gungunata hai tab tum paramatma ka anubhav karte ho. Paramatma anuman nahi, prem ki pratiti hai.
Shraddha ka sutra jivan me sari sambhavnao ko apne me liye hai. Aamtaur se log sochte hain ki shraddhalu vyakti kamjor hota hai. Bilakul galat baat hai. Shraddhalu hi shaktishali hai, buddhivadi kamjor hota hai kyoki vah har bat ka praman mangta hai.
Ahankari vyakti pratipal isi hisab me laga rahta hai ki kis tarah se mere ahankar ko jyada sahara milega. Akad kar khada rahu, kisi ke samne na jhuku, chehre ko bilkul patthar ki murti bana lu, isase milega? Ya phir vinamrata se labh milega to vah vinamar hone ko bhi taiyar hai. Is ahankar se bachiye, yah maharog hai.
Please note: This audiobook is in Hindi.