Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.
Family Drama Stories by Delhi Press, Season 4  By  cover art

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 4

By: Delhi Press
Narrated by: Mahjabeen Ali, Manish Singhal
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show more Show less
Episodes
  • आया
    May 26 2022
    Tushar ka tabadla Mumbai hua toh vah apni patni Rashmi ko bhi saath le aaya. Unhe ek naukrani Lakshmi mili jo ghar ka saara kaam karti thi aur raat ko chali jaati thi. Rashmi ne ek bete ko janm diya aur Lakshmi uska khayal rakhti thi. Ek din jab Rashmi aur Tushar der se ghar laute toh dekha ki Lakshmi unke bete Golu ke saath gayab hai. Unhone police mein report likhwa di. Par phir pata chala ki Golu ko chot lagi thi aur Lakshmi use hospital le gayi thi. Tushar aur Rashmi apni galti par sharminda huye.
    Show more Show less
    14 mins
  • मैं पापी हूं
    May 26 2022
    Yah ek aadmi ki kahani hai jo Agra se nikalne wali ‘Machalti Jawani’ naam ki adult magazine ke liye likhta tha. Ek din patrika ne Sonagachi ilaake ki kuchh tasveerein maangi. Aadmi ne Seema naam ki ladki ko paise diye aur uski tasveerein kheechi. Iske liye vah khud ko paapi kyun maanta hai? Uske bachpan mein chhupa aisa kaunsa raaz tha jo koi nahin jaanta tha? Aur Seema ka ab kya hoga? Kya inn tasveeron ki wajah se uski zindagi badal jaegi?
    Show more Show less
    12 mins
  • नया सवेरा-अदिति के जीवन में जो तूफान आया था
    May 26 2022
    Aditi ke pati Vinay ki shaadi ke do saal baad hi mrityu ho gayi thi. Uske do bachche bhi the. Vah apne dukh se ubharne ki koshish kar rahi thi aur uski saheli Bhavna ne uski kaafi madad ki. Ek baar office ki party mein vah apni pasand ke naye kapde pehen kar gayi. Sabhi use dekh rahe the aur ajeeb taane maarne lag gaye. Aditi ko bohot bura laga lekin Bhavna ne sach keh kar sabko chup hone par majboor kar diya.
    Show more Show less
    9 mins

What listeners say about Family Drama Stories by Delhi Press, Season 4

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.