Episodios

  • Mujhse pehle tujhe jis shakh ne chaaha us ne - Ahmed Faraaz
    Jan 18 2026
    Main subah ke pehlu mein letaYe ek nazm padh raha hun Neend aankhon mein hai Aur ek khwaab table par baitha haiTumhari yaad kamre mein Cigarette ke surmai dhue'n si Bharti jaa rahi hai
    Palko'n ke peechhe chal raha hai Koi geela aansu :)

    Ishq Soz .
    Más Menos
    2 m
  • Woh ki har ahad e mohabbat se mukarta jaaye - Alamtaab Tishna
    Jan 4 2026
    January mein tishna saahab ki ye ghazal , badan par itwaar ki halki dhoop ki maanind mehsoos ho rahi hai .. main mal raha hun isey .



    PS : the music ive used in the background is by Parth Chandiramani .
    Haan agar aapne devanand ki guide dekhi hogi toh aap samajh jaayege ki jo photo maine use ki hai us sey zyaada suitable photo koi ho hi nahin sakti is mouzu ke liye duniya mein :)

    ishq Soz
    Más Menos
    2 m
  • Koi abr udey kisi kulzum se
    Dec 28 2025
    Saaqi Faaruqi ki ye nazm .. udti udti kaano mein pad gayi mere .. kisi ne hawaaon pe rakh di hogi .. tamaam umra koi zaayaka ghulta raha ..
    Main ek lamhe ki dehleez par baitha padh raha hoon isko .. Aur apne phone ke recorder par darj kar raha hoon isey
    Aapke hawaale kar raha hoon isko .

    Ishq Soz :)
    Más Menos
    1 m
  • Socha nahin achchha bura - Bashir Badr
    Nov 30 2025
    Aaj 30 November hai .. aur main bashir saahab ki ye mashoor ghazal record kar ke upload kar raha hun .
    School ke dino se hi ye bohot pasand rahi hai mujhe .. khaas kar ke doosara sher iska .
    Is ghazal mein poora ek zamaana simta hua hai umra ka meri .
    Woh saare log yaad aane lagte hain jo is waqt bbehadd qareeb theyy mere .. par ab saalon se baat nahin hui .

    Jo is episode ke liye photo use ki hai woh ek friend ne kalimpong se click kar ke bheji thi . Kalimpong water painting ke jaisa lagta hai nah ?

    Zafar Iqbal ka ik sher hai :
    सफ़र पीछे की जानिब है क़दम आगे है मेरामैं बूढ़ा होता जाता हूँ जवाँ होने की ख़ातिर
    Safar peechhe ki jaanib hai qadam aage hai meraMain boodha hota jaata hoon jawaa'n hone ki khaatir



    ishq Soz .



    Más Menos
    2 m
  • Door se hi bus dariya dariya lagta hai - Waseem Barelavi
    Aug 24 2025
    Ek sher mein Waseem Sahab likhte hain :
    Main usko aansuo'n se likh raha hun Ki mere baad koi padh nah paaye :)
    Main sochta hun Ki aise kitne saare khat duniya mein Likhe gaye honge Jo apne pate par nahin pohoche honge Jin ke andar roshnaai phail gayi hogi Waqt ki gard mein sann kar Jo zard ho gaye honge
    Kya itna hi muqaddar tha unka ?

    Khair Waseem sahab ki is ghazal ka har ek sher kamaal hai .. Suniye Aur malaal kijiye
    Ishq Soz
    Más Menos
    4 m
  • Woh Saahilon Pe Gaane Waale Kya Hue - Nasir Kazmi
    Jul 13 2025
    Subah ke paanch baj rahe hain yahaan Mand mand baarishon mein bheegte hue Waqt nange paaon chal raha hai :)
    Main tanha apne kamre mein baitha baith Nasir saahab ki ye ek ghazal padh raha hun Suniye aur ishq karte rahiye

    Soz
    Más Menos
    2 m
  • Main tumse pyaar karta hoon - Ashfaaq Hussain
    Jun 30 2025
    Kitni nanhi nazm hai ye Kisi chhote bachche ki tarah Aur usi ki tarah iska har ek lafz Kitna sachcha hai
    Zia Mohyeddin ke recitation ne is ek nazm ko kahaan se kahaan pohocha diya Zia Saahab ko bohot admire kiya hai maine Kaash ki utne hi dil se main bhi recite kar paata nazmo'n ko
    Khair Pichhle kuchh dino se Khurshid Rizvi ka ye sher saanson se lipta hua hai Padhiye :
    Aakhir ko hans padenge kisi ek baat par Rona tamaam umra ka bekaar jaayega :)

    Background mein Priya gaa rahi haiWoh jab bhi gaati hai toh baarish hone lagti haiPhool khilne lagte hain Yahi chaahta hun Ki jahaan bhi rahe Apni aawaaz ki khushboo se mehekti rahe

    Soz .
    Más Menos
    1 m
  • Tamaam umra tera intezaar humne kiya : Hafeez Hoshiarpuri
    Jun 19 2025
    Ye ek ghazal record ki shaair hain janaab hafeez hosiyaarpuri Aur kuchh kehne ko baaqi raha kya ? Apni ek nanhi nazm post kar raha hun Padhiye :

    Ek khwaab mein dekha tha tumko Kal shab Der talak khaamosh rahe Sannaate ki ret meri aankhon meinBharti rahi
    Do chaar janm jab beet gaye Toh halki si aawaaz mein tum bole mujhse

    Jahaan hain teri baahen Mera saahil wahi .. Tu bin bataaye mujhe le chal kahin :)


    ~Soz :)
    Más Menos
    1 m