Escucha audiolibros, podcasts y Audibles Originals con Audible Plus por un precio mensual bajo.
Escucha en cualquier momento y en cualquier lugar en tus dispositivos con la aplicación gratuita Audible.
Los suscriptores por primera vez de Audible Plus obtienen su primer mes gratis. Cancela la suscripción en cualquier momento.
Family Drama Stories by Delhi Press, Season 21  Por  arte de portada

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 21

De: Delhi Press
Narrado por: Rupali Shinde, Lalit S Kumar
Prueba por $0.00

Escucha con la prueba gratis de Plus

  • Resumen

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Más Menos
Episodios
  • नीला पत्थर : आखिर क्या था काकी का फैसला
    Sep 15 2022
    Kaki sundar thi lekin janam se goongi-beheri thi. Vah ghar ke kaam mein maahir thi. Deenu ke fauji bete Ramesh ka dil Kaki par fida ho gaya. Kaki bhi usse prem karne lagi thi. Dono bhaag kar shaadi karne ki yojna banaane lage. Lekin vah kaamyab nahin ho sake aur Kaki ki shaadi ek bure parivaar mein ho gayi. Vah wahan se bhi bhaag gayi. Kya use koi aisa insaan milega jo use samjhe aur dil se apna le?
    Más Menos
    13 m
  • निशान
    Sep 15 2022
    Masoomi ke do bhai the aur uske mata-pita uski shaadi jald karwaana chaahte the. Ab vah 28 saal ki ho chuki thi. Lekin jab bhi shaadi ki baat hoti toh use daura pad jaata aur vah ajeeb vyavahar karne lagti. Baad mein vah shaadi se inkaar kar deti aur kehti ki abhi vah taiyyar nahin hai. Asal mein uske bachpan ki yaadein abhi bhi use bohot parehsaan karti thi. Usne ghar mein jo dekha tha uske baad vah nahin chaahti thi ki shaadi ke baad uska pati bhi uske saath vaisa vyavahar kare.
    Más Menos
    32 m
  • और्डर- नेहा ने अपनी खुशी को क्यों कुर्बान कर दी?
    Sep 15 2022
    Neha aur Sameer pati-patni the. Ek din Neha ne Sameer se naya phone lene ko kaha. Agle din vah kaam se chhutti le kar ma ke ghar pohonchi. Wahan use paas ke ghar mein rehne waale uncle dikhe toh vah unse milne gayi. Asal mein unka phone kharaab ho gaya tha aur wahi ek zariya tha jisse vah apne bachchon se baat karte the kyunki unke bachche doosre sheheron mein the. Neha ne unke liye kya tohfa liya tha?
    Más Menos
    6 m

Lo que los oyentes dicen sobre Family Drama Stories by Delhi Press, Season 21

Calificaciones medias de los clientes

Reseñas - Selecciona las pestañas a continuación para cambiar el origen de las reseñas.